aae hum shahr-e-ghazal mein to is aaghaz ke sath
muddaton raqs kiya hafiz-e-shiraaz ke sath
awwal-e-ishq hai aur ham-safari ki lazzat
aur aahista qadam aur zara naz ke sath
awwal awwal to dhanak ban ke uDa wo tair
aur phir rang badalte gae parwaz ke sath
ek viran dariche pe KHizan ki barish
koi taswir banati rahi aawaz ke sath
main wo sarshaar ki tha nashsha-e-yak-KHwab bahut
is ne tabir bhi di KHwab ke aaghaz ke sath
hai koi waqif-e-asrar sar-e-mai-KHana
kya ye mina se surahi ne kaha raaz ke sath
hum ne hi dil se ham-ahang gulu ko rakkha
log lai apni badalte rahe har saz ke sath
Ghazal
Aae hum shahr-e-ghazal mein to is aaghaz ke sath
Razi Akhtar Shauq