aae hum 'ghaalib'-o-'iqbaal' ke naghmat ke baad
'mushaf'-e-ishq-o-junun husn ki aayat ke baad
ai watan KHak-e-watan wo bhi tujhe de denge
bach gaya hai jo lahu ab ke fasadat ke baad
nar-e-namrud yahi aur yahi gulzar-e-KHalil
koi aatish nahin aatish-kada-e-zat ke baad
ram-o-gautam ki zamin hurmat-e-insan ki amin
banjh ho jaegi kya KHun ki barsat ke baad
tishnagi hai ki bujhae nahin bujhti 'sardar'
baDh gai kausar-o-tasnim ki saughat ke baad
Ghazal
Aae hum ghaalib-o-iqbaal ke naghmat ke baad
Ali Sardar Jafri