اردو हिंदी
Aae hain mir kafir ho kar KHuda ke ghar mein | Shaahi Shayari
aae hain mir kafir ho kar KHuda ke ghar mein

Ghazal

Aae hain mir kafir ho kar KHuda ke ghar mein

Mir Taqi Mir

;

aae hain 'mir' kafir ho kar KHuda ke ghar mein
peshani par hai qashqa zunnar hai kamar mein

nazuk badan hai kitna wo shoKH-chashm dilbar
jaan us ke tan ke aage aati nahin nazar mein

sine mein tir us ke TuTe hain be-nihayat
suraKH paD gae hain sare mere jigar mein

aainda sham ko hum roya kuDha karenge
mutlaq asar na dekha nalidan-e-sahar mein

be-sudh paDa rahun hun us mast-e-naz bin main
aata hai hosh mujh ko ab to pahr pahr mein

sirat se guftugu hai kya mo'tabar hai surat
hai ek sukhi lakDi jo bu na ho agar mein

ham-saya-e-mughan mein muddat se hun chunanche
ek shira-KHane ki hai diwar mere ghar mein

ab subh o sham shayad girye pe rang aawe
rahta hai kuchh jhamakta KHunab chashm-e-tar mein

aalam mein aab-o-gil ke kyunkar nibah hoga
asbab gir paDa hai sara mera safar mein