aae hain baada-nosh baDi aan-ban par
mela laga hai pir-e-mughan ki dukan par
saqi ata ho ab mujhe saghar sharab ka
chhai hui hai kaisi ghaTa aasman par
rote hain tere ishq mein ai rashk-e-mah jab
karte hain log KHanda hamari fughan par
paida hua asar na kabhi meri aah mein
khaya na us ne rahm kabhi be-zaban par
ai kash ye nasib karen itni yawari
pahunchun kabhi main shab ko tumhaare makan par
kis shan se wo aaj gae hain adu ke ghar
mujh se bigaD ke pahunche hain wo aasman par
allah shab-e-firaq mein wo aah-o-zariyan
har waqt sadme kaise hain mujh nim-jaan par
likkha jo KHatt-e-shauq unhen main ne hijr mein
rone lage raqib bhi mere bayan par
yarab tere hi fazl ka umid-war hun
khata nahin hai rahm koi na-tawan par
har-dam tere firaq mein phirta hun su-ba-su
lakhon balaen aati hain 'ajiz' ki jaan par
Ghazal
Aae hain baada-nosh baDi aan-ban par
Peer Sher Mohammad Ajiz