aae aane ko hazaron gham hazaron gham gae
gham ziyaada se ziyaada aae kam se kam gae
dam dilase hausle dete masiha dam gae
aae be-had KHush magar ba-dida-e-pur-nam gae
ab na aana tum pae bimar-pursi dosto
ab yahi alfaz kafi hain tum aae hum gae
uD gae to uD gae kafur ki manind hum
jam gae to anjuman mein surat-e-yaKH jam gae
dar-ba-dar dhuni ramane wale ramte ab kahan
dar-ba-dar dhuni ramane wale ramte ram gae
yurish-e-barq-o-bala mein kab mera dam-KHam gaya
jal gai rassi to kya kya us ke pech-o-KHam gae
ab to apne aap mein bhi hazrat-e-adam nahin
ab to apne aap se bhi hazrat-e-adam gae
Ghazal
Aae aane ko hazaron gham hazaron gham gae
Pundit Amar Nath Hoshiyarpuri