aadmi KHwar bhi hota hai nahin bhi hota
ishq aazar bhi hota hai nahin bhi hota
ye jo kuchh log KHayalon mein raha karte hain
un ka ghar-bar bhi hota hai nahin bhi hota
zindagi sahl-pasandi mein basar kar lena
kar-e-dushwar bhi hota hai nahin bhi hota
kar-e-duniya hi kuchh aisa hai ki dil se tera dard
silsila-war bhi hota hai nahin bhi hota
shadi-o-marg ne ye nukta bataya hai ki waqt
tez-raftar bhi hota hai nahin bhi hota
'afzal' aur qais ne qanun banaya hai ki ishq
dusri bar bhi hota hai nahin bhi hota

Ghazal
Aadmi KHwar bhi hota hai nahin bhi hota
Afzal Khan