aadmi KHud ko bhala kaise bacha le jaega
jis jagah marna hai us ko hadisa le jaega
main agar tufan se bach bhi gaya to kya hua
meri kashti ko bhanwar mein na-KHuda le jaega
aaj phir zaKHm-e-jigar taza hai pahle ki tarah
aaj phir mujh ko tera gham mai-kada le jaega
aaD mein tafrih ki tum chhoD do aiyyashiyan
warna phir pani samundar ka baha le jaega
aadmi ke sath jaenge faqat us ke amal
aur apne sath wo duniya se kya le jaega
kis liye fariyaad le ke jaun main munsif ke pas
jab sitamgar apne haq mein faisla le jaega
soch ai insan teri hasti ki hai kitni bisat
tujh ko jab tufan ka ek jhonka uDa le jaega
us ke sar pe aafiyat ka saeban hoga zarur
sath jo KHanjar buzurgon ki dua le jaega

Ghazal
Aadmi KHud ko bhala kaise bacha le jaega
Khanjar Ghazipuri