aadmi aur dard se na-ashna mumkin nahin
aks se KHali ho koi aaina mumkin nahin
aadmi insan-e-kaamil ban to sakta hai magar
zindagi bhar rah sake wo parsa mumkin nahin
do kinare jaise dariya ke nahin milte kabhi
hum se iqdam-e-jafa un se wafa! mumkin nahin
kar-farma jab rahe barq-e-nazar aaThon pahar
shahr bhar mein ho na koi hadsa! mumkin nahin
kis qadar himmat-shikan hai gumrahi ka ye jawaz
rahbari az-ibtida ta-intiha mumkin nahin
shisha koi chur ho jae to phir kis kaam ka
miT ke ho aabaad aiwan-e-wafa mumkin nahin
aap patthar ko nichoDen is se kya hasil 'matin'
tang-dil insan ho haq-ashna mumkin nahin
Ghazal
Aadmi aur dard se na-ashna mumkin nahin
Matin Niazi