aadmi aadmi se milte hain
aap bhi kya kisi se milte hain
ye hasin jis kisi se milte hain
jaanta hai mujhi se milte hain
hum se furqat-nasib kya jaanen
jo maze zindagi se milte hain
kya bataen junun mein kya kya lutf
hum ko un ki hansi se milte hain
kya kahen jab wo milte hain tanha
un se hum kis KHushi se milte hain
us ki surat ko phir koi dekhe
jis se wo be-ruKHi se milte hain
un ki ruKHsat ke waqt hum un se
hae kis bekasi se milte hain
lakh gham-e-zindagi hai KHud yani
lakh gham-e-zindagi se milte hain
apne mazhab mein hai nifaq haram
jis se milte hain ji se milte hain
suKHan-e-'dagh' ke mere 'raghib'
suKHan-e-'shauq' hi se milte hain
Ghazal
Aadmi aadmi se milte hain
Raghib Badayuni