aadmi aadmi ke bas ka nahin
aur ye qissa sau baras ka nahin
sirf taswir khinch sakta hai
dukh tere camere ke bas ka nahin
jab ye aati hai to nahin jati
aagahi hai huzur chaska nahin
jalti batti hai wo hawa hun main
masala sirf dastaras ka nahin
rikshe wale ne is ko batlaya
ye tera muntazir hai bas ka nahin
Ghazal
Aadmi aadmi ke bas ka nahin
Muzdam Khan