اردو हिंदी
Aadhi aag aur aadha pani hum donon | Shaahi Shayari
aadhi aag aur aadha pani hum donon

Ghazal

Aadhi aag aur aadha pani hum donon

Madan Mohan Danish

;

aadhi aag aur aadha pani hum donon
jalti-bujhti ek kahani hum donon

mandir masjid girja-ghar aur guru-dwara
lafz kai hain ek maani hum donon

rup badal kar nam badal kar aate hain
fani ho kar bhi la-fani hum donon

gyani dhyani chatur siyani duniya mein
jite hain apni nadani hum donon

aadha aadha banT ke jite rahte hain
raunaq ho ya ho virani hum donon

nazar lage na apni jagmag duniya ko
karte rahte hain nigarani hum donon

KHwabon ka ek nagar basa lete hain rose
aur ban jate hain sailani hum donon

tu sawan ki shoKH ghaTa mein pyasa ban
chal karte hain kuchh man-mani hum donon

ik-duje ko rose sunate hain 'danish'
apni apni ram-kahani hum donon