aadhi aadhi raat tak saDkon ke chakkar kaTiye
shairi bhi ek saza hai zindagi bhar kaTiye
shab gae bimar logon ko jagana zulm hai
aap hi mazlum baniye raat bahar kaTiye
jal ke andar bhi main taDpunga chiKHunga zarur
mujh se KHaif hain to meri soch ke par kaTiye
koi to ho jis se us zalim ki baaten kijiye
chaudhwin ka chand ho to raat chhat par kaTiye
rone wali baat bhi ho to latifa jaaniye
umr ke din kaTne hi hain to hans kar kaTiye
Ghazal
Aadhi aadhi raat tak saDkon ke chakkar kaTiye
Nisar Nasik