aadha jism sulagta aadha jal-thal hai
jaane kaisi dhup hai kaisa baadal hai
KHwabon ka ek shahr hai meri aankhon mein
aur is shahr ke chaaron jaanib jangal hai
mere sath nahin wo phir bhi jaane kyun
us ke bichhaD jaane ka dhaDka pal pal hai
lamha lamha dhansta jata hai manzar
shayad meri aankh mein koi daldal hai
kash use ho jae ye malum 'hasan'
koi us ke pyar mein kitna pagal hai
Ghazal
Aadha jism sulagta aadha jal-thal hai
Hasan Abbasi