aadatan mayus ab to sham hai
hijr to bas muft hi badnam hai
aaj phir dhundla gaya mera KHayal
aaj phir alfaz mein kohram hai
algani par Tang kar din ka libas
raat ko ab chain hai aaram hai
naqs tabiron mein kyun karna rahe
KHwab hi jab ke hamara KHam hai
muKHtalif shaklen banana waqt ka
bas yahi to gardish-e-ayyam hai
is firaq-e-na-tawan mein aaj phir
ye ghazal bhi lo tumhaare nam hai
barf ke dariya kinare aaftab
ya wahan mashuq lala-fam hai
falsafa koi zaruri to nahin
masKHari bhi shairi mein aam hai
yar batla do mujhe us ka pata
mujh ko 'ulfat' se zara sa kaam hai
Ghazal
Aadatan mayus ab to sham hai
Shadab Ulfat