اردو हिंदी
Aadam ka jism jab ki anasir se mil bana | Shaahi Shayari
aadam ka jism jab ki anasir se mil bana

Ghazal

Aadam ka jism jab ki anasir se mil bana

Sauda Mohammad Rafi

;

aadam ka jism jab ki anasir se mil bana
kuchh aag bach rahi thi so aashiq ka dil bana

sargarm-e-nala in dinon main bhi hun andalib
mat aashiyan chaman mein mere muttasil bana

jab tesha kohkan ne liya hath tab ye ishq
bola ki apni chhati pe dharne ko sil bana

jis tirgi se rose hai ushshaq ka siyah
shayad usi se chehra-e-KHuban pe til bana

lab zindagi mein kab mile us lab se ai kalal
saghar hamari KHak ko math karke gil bana

apna hunar dikhawenge hum tujh ko shishagar
TuTa hua kisi ka agar hum se dil bana

sun sun ke arz haal mera yar ne kaha
'sauda' na baaten baiTh ke yan muttasil bana