aabru ki kise zarurat hai
jaan bach jae to ghanimat hai
der tak sath de nahin sakta
jhuT ki bas yahi haqiqat hai
be-zarurat bhi kar liya sajda
ye ibaadat baDi ibaadat hai
main mohabbat tujhe nahin karta
tu faqat ruh ki zarurat hai
dasht viran rahe agar to phir
dawa-e-ashiqi pe lanat hai
koi shikwa-gila nahin baqi
ab isi baat ki shikayat hai
Ghazal
Aabru ki kise zarurat hai
Sunil Kumar Jashn