aable paon ke kya tu ne hamare toDe
KHar-e-sahra-e-junun arsh ke tare toDe
zaqan o ruKH mein na jasuson se baqi rakkhi
samar-e-gul chaman-e-husn ke sare toDe
silsila apni giraftari ka kab qata hua
pahni pazeb unhon ne jo utare toDe
mast mujh sa bhi koi nashsha ka hoga na haris
pi ke mai jam ke danton se kinare toDe
sharbat-e-wasl hai tanqid ki KHatir maujud
tap-e-hijr aa ke badan ko na hamare toDe
KHatm duzdida nigah par hai teri tarrari
dil nahin toDe ahibba ke piTare toDe
aa gaya wo shajar-e-husn nazar jab hum ko
bosa le kar lab-e-shirin ke chuware toDe
ishq be-dard se karne ko kaha tha kis ne
sar ko Takra ke na dil dard ke mare toDe
kunj-e-uzlat mein biThaya hai KHuda ne 'atish'
ab jo tum yan se hile paon tumhaare toDe
Ghazal
Aable paon ke kya tu ne hamare toDe
Haidar Ali Aatish