aabla-pai se virana mahak jata hai
kaun phulon se mera rasta Dhak jata hai
maslahat kahti hai wo aae to kyun aae yahan
dil ka ye haal har aahaT pe dhaDak jata hai
kya sar-e-sham na lauTunga nasheman ki taraf
kya andhera ho to jugnu bhi bhaTak jata hai
ek diwana bhaTakta hai bagula ban kar
ek aahu kisi wadi mein ThiThak jata hai
koi aawaz kahin gunj ke rah jati hai
koi aansu kisi aariz pe Dhalak jata hai
qafila umr ka paiham safar-amada sahi
shajar-e-saya-fagan dekh ke thak jata hai
'shaz' is koshish-e-tamkin pe bahut naz na kar
ye charagh-e-tah-e-daman bhi bhaDak jata hai
Ghazal
Aabla-pai se virana mahak jata hai
Shaz Tamkanat