aabla KHar-e-sar-e-mizhgan ne phoDa sanp ka
seli-e-zulf-e-rasa ne kalla toDa sanp
panja-e-dandan teri kanghi ne moDa sanp ka
kar ke gesu-e-kalai hath toDa sanp ka
kudki si mere sar par ishq-e-gesu hai sawar
chob ki badli banata tha main ghoDa sanp ka
bar-e-firauni pe teri zulf agar bandhe kamar
azhdar-e-musa ke tausan par ho kuDa sanp ka
main hun wo ranjur-e-gesu aks agar mera paDe
mohr-e-har-e-ustuKHwan ban jae phoDa sanp ka
jab siyah botal se mai-rezi hui daur-e-firaq
main ye samjha zahr saqi ne nichoDa sanp ka
hai qadam us ka hawa par panw us ka KHak par
zulf ke mushki ko kab pata hai ghoDa sanp ka
aashiq-e-zulf-e-siyah ko is tarah tazir do
sanp ki rassi banao aur koDa sanp ka
zulf-e-kaj-raftar ki kab chaal chal sakta hai wo
aisi Thokar khae sar ban jae roDa sanp ka
ek din ho jaega raushan siyah-kari ka haal
donon baghlon mein jaride hain ki joDa sanp ka
jaanta hun main tere ras-o-zamb ko ai falak
mere Dasne ke liye pala hai joDa sanp ka
kya tajjub husn-e-jaanan se agar puchhe gazand
KHal mein bichchhu ka joDa zulfen joDa sanp ka
sanp ke kaTe ki lahr aae jo wasf-e-zulf mein
'bahr' ne phir to koi mazmun na chhoDa sanp ka
Ghazal
Aabla Khaar-e-sar-e-mizhgan ne phoDa sanp ka
Imdad Ali Bahr