aabla hai ki ghaw jo bhi hai
samne mere lao jo bhi hai
chaak se ab mujhe utaro bhi
meri surat dikhao jo bhi hai
jo nahin us ki kya pareshani
KHair us ki manao jo bhi hai
rakh diya hai tumhaare chugne ko
dard ki faKHtao jo bhi hai
hum tere dar se ab na uTThenge
tera hum se subhaw jo bhi hai
dost to apne aap bante hain
koi dushman banao jo bhi hai
pa gae hain tumhaara bhed sabhi
apna bhaw girao jo bhi hai
ishq ki bad-dua lagi hai tumhein
baiThe duniya kamao jo bhi hai
muntazir hain samaaten sab ki
apni apni sunao jo bhi hai
ye nishani hai ek payambar ki
ye shikasta si naw jo bhi hai
jura jura main pi raha hun 'munir'
mere dil mein alaw jo bhi hai
Ghazal
Aabla hai ki ghaw jo bhi hai
muneer saifi