aabaadiyon mein kho gaya sahraon ka junun
shahron ka jamghaTon mein gaya ganw ka sukun
haalat ke asir hue masKH ho gae
chehre pe jin ke dauDta tha nazuki ka KHun
tahzib-e-nau ki raushni mein jal-bujhe tamam
mazi ki yaadgar mere ilm aur funun
bechain zindagi ke taqaze ajib hain
phir us jagah chalen jahan kho aae hain sukun
ye tajraba bhi gardish-e-haalat se hua
kaise saped hota hai har aashna ka KHun
lo kaam hosh se ye naya daur hai 'matin'
wahshat na sath degi na kaam aaega junun
Ghazal
Aabaadiyon mein kho gaya sahraon ka junun
Syed Fazlul Mateen