aabaad rahenge virane shadab rahengi zanjiren
jab tak diwane zinda hain phulengi phalengi zanjiren
aazadi ka darwaza bhi KHud hi kholengi zanjiren
TukDe TukDe ho jaengi jab had se baDhengi zanjiren
jab sab ke lab sil jaenge hathon se qalam chhin jaenge
baatil se loha lene ka elan karengi zanjiren
andhon bahron ki nagri mein yun kaun tawajjoh karta hai
mahaul sunega dekhega jis waqt bajengi zanjiren
jo zanjiron se bahar hain aazad unhen bhi mat samjho
jab hath kaTenge zalim ke us waqt kaTengi zanjiren
Ghazal
Aabaad rahenge virane shadab rahengi zanjiren
Hafeez Merathi