aabaad ab na hoga mai-KHana zindagi ka
labrez ho chuka hai paimana zindagi ka
aa KHwab mein kisi din ai rashk-e-mah-e-taban
kar de zara munawwar kashana zindagi ka
wo taza dastan hun marne ke baad un ko
aaega yaad mera afsana zindagi ka
parda zara uTha de banki idaron wale
afsana kahne aaya diwana zindagi ka
ummiden miT na jaen nazren na pher zalim
barbaad kar na mera kashana zindagi ka
hai waqt-e-naza zalim baalin pe dekh kar
dam toDta hai kaise diwana zindagi ka
KHun-e-jigar baha kar aankhon se apni 'anwar'
rangin kar raha hun afsana zindagi ka
Ghazal
Aabaad ab na hoga mai-KHana zindagi ka
Anwar Saharanpuri