aab o hawa hai barsar-e-paikar kaun hai
mere siwa ye mujh mein giraftar kaun hai
ek raushni si rah dikhati hai har taraf
dosh-e-hawa pe sahib-e-raftar kaun hai
ek ek kar ke KHud se bichhaDne lage hain hum
dekho to ja ke qafila-salar kaun hai
bosidgi ke KHauf se sab uTh ke chal diye
phir bhi ye zer-e-saya-e-diwar kaun hai
qadmon mein sae ki tarah raunde gae hain hum
hum se ziyaada tera talabgar kaun hai
phaila raha hai daman-e-shab ki hikayaten
suraj nahin to ye pas-e-kohsar kaun hai
kya shai hai jis ke waste TuTe paDe hain log
ye bhiD kyun hai raunaq-e-bazar kaun hai
ai dil ab apni lau ko bacha le ki shahr mein
tu jal-bujha to tera aza-dar kaun hai
ab tak isi KHayal se soe nahin 'salim'
hum so gae to phir yahan bedar kaun hai
Ghazal
Aab o hawa hai barsar-e-paikar kaun hai
Saleem Kausar