aab o giya se be-niyaz sard jabin-e-koh par
garmi-e-ru-e-yar ka aks bhi raegan gaya
sath pe taza phul hain kaun samajh saka ye raaz
aag kidhar kidhar lagi shoala kahan kahan gaya
raaz-e-KHirad ho kuchh bhi ab raaz-e-junun to ye hai bas
aankh thi be-basar rahi tir tha be-kaman gaya
umr-e-rawan ki manzilen tul-e-tawil muKHtasar
aap bhi ham-safar rahe ghair bhi ham-inan gaya
Ghazal
Aab o giya se be-niyaz sard jabin-e-koh par
Shamsur Rahman Faruqi