aab mein zaiqa-e-shir nahin ho sakta
KHwab to KHwab hai tabir nahin ho sakta
mujh ko paband-e-salasil koi jitna kar le
par mera azm to zanjir nahin ho sakta
har taraf ghul hai shahanshah ki marzi ke baghair
ab koi lafz bhi tahrir nahin ho sakta
rizq jaisa hai muqaddar mein likha hota hai
fan kisi shaKHs ki jagir nahin ho sakta
hum ne darwaza-e-mizhgan pe saja rakkha hai
wo sitara ki jo tasKHir nahin ho sakta
Ghazal
Aab mein zaiqa-e-shir nahin ho sakta
Ali Yasir