aab ki tasir mein hun pyas ki shiddat mein hun
abr ka saya hun lekin dasht ki wusat mein hun
yun to apna lag raha hai jism ka ye ghar mujhe
ruh lekin kah rahi hai dekh main ghurbat mein hun
aur to apni KHabar hai sab mujhe is ke siwa
kaun hun kyun hun kahan hun aur kis haalat mein hun
yaad bhi aata nahin kuchh bhulta bhi kuchh nahin
ya bahut masruf hun main ya bahut fursat mein hun
main hua bedar to har shaKHs ye kahne laga
nind mein hun KHwab mein hun ya kisi ghaflat mein hun
zindagi ne kya diya tha maut ne kya le liya
KHak se paida hua tha KHak ki sohbat mein hun
Ghazal
Aab ki tasir mein hun pyas ki shiddat mein hun
Bharat Bhushan Pant