aab-e-rawan hun rasta kyun na DhunDh lun
main tere intizar mein kab tak ruka rahun
tarikiyan muhit hain har anjuman pe aaj
lazim nahin ki main teri mahfil mein hi jalun
ghabra raha hai ji mera tan ke makan mein
majburiyon ke sae mein kab tak paDa rahun
nikla hun teri bazm se manind-e-dud-e-shama
chahun bhi ab kabhi to main wapas na aa sukun
milna tera to KHair baDi baat hai magar
itna bhi kam nahin hai ki main KHud ko DhunDh lun
KHud se bhi koi rabt nahin mera in dinon
tujh se talluqat ki tajrid kya karun
aankhen bujhi bujhi hain to manzar miTe miTe
ai zindagi kahan se tujhe aab-o-rang dun
'ruhi' ye daur-e-zist musalsal azab hai
khul kar na hans sakun na kabhi khul ke ro sakun
Ghazal
Aab-e-rawan hun rasta kyun na DhunDh lun
Roohi Kanjahi