اردو हिंदी
Aaankhon se maine chakh liya mausam ke zahr ko | Shaahi Shayari
aaankhon se maine chakh liya mausam ke zahr ko

Ghazal

Aaankhon se maine chakh liya mausam ke zahr ko

Aslam Azad

;

aaankhon se main ne chakh liya mausam ke zahr ko
lekin wajud sah na saka us ke qahr ko

phenka tha kis ne sang-e-hawas raat KHwab mein
phir DhunDhti hai nind usi pichhle pahr ko

miTTi ke sab makan zamin-doz ho gae
naqshe mein ab talash karo apne shahr ko

dariya-e-shab ka TuT gaya hai sukut aaj
muddat ke baad dekh ke kirnon ki nahr ko

sae ke sath waqt ke dauDa wo der tak
palkon mein phir chhupa liya lamhon ke qahr ko

paimana-e-gulab ko honTon se chum kar
muTThi mein qaid kar liya KHushbu ki lahr ko