aaankhon pa abhi tohmat-e-binai kahan hai
tu KHud hi tamasha hai tamashai kahan hai
aaina hui tishnagi payabi-e-jaan se
chehre pa to likkhi hui ruswai kahan hai
in jagti aaankhon ko mile dhup ke bazar
ai dil wo pighalti hui tanhai kahan hai
suraj hai ki bas nok pe sui ki khaDa hai
ab fursat-e-kam-kam bhi mere bhai kahan hai
KHun chuste lamhon se kaho hath pasaren
ehsas ki surat abhi zardai kahan hai
kuchh aur bikhar kar kahin pahchan na kho lun
is shahr ko miTi meri ras aai kahan hai
wo shaKHs baDe chaw se kuchh puchh raha hai
tu aise mein ai lazzat-e-goyai kahan hai
KHair apnon mein ek hum hi nakul aae hain shaer
shahzadgi-e-shauq ye aabai kahan hai

Ghazal
Aaankhon pa abhi tohmat-e-binai kahan hai
Rauf Khair