aaankhon mein virani si hai palken bhigi baal khule
tu be-waqt pasheman kyun hai hum par bhi kuchh haal khule
tark-e-wafa par socha tha hafiz-sahib se baat karun
ab Darta hun jaane kaisi ulTi sidhi fal khule
lakhon ka haq mar chuke ho chain kahan se paoge
paidal aage sarkao to farzin ki bhi chaal khule
baaton se to naseh ko hum sidha-sada samjhe the
wo to ek din mai-KHane mein hazrat ke ahwal khule
fariyaadon ne aur baDha di muddat bad-unwani ki
bazu phailane se shayad bandhan TuTen jal khule
hasti ki is bhul-bhulayyan mein jab tham kar socha to
ek pechida lamhe mein sad-bab-e-mah-o-sal khule
aap 'muzaffar'-hanafi se mil kar shayad mayus na hon
dil ke saf basirat gahri zehan rasa aamal khule
Ghazal
Aaankhon mein virani si hai palken bhigi baal khule
Muzaffar Hanfi