aaankhon mein sitare se chamakte rahe ta-der
ek ghar ke dar-o-baam ko takte rahe ta-der
aansu to hue KHushk pa girya raha jari
bachchon ki tarah ro ke sisakte rahe ta-der
us shaKH se ek mar-e-siyah lipTa hua tha
lekin wahin tair bhi chahakte rahe ta-der
kya lams tha us dast-e-hinai ka tah-e-ab
angare se hathon mein dahakte rahe ta-der
ek aag si jalti rahi ta-umr lahu mein
hum apne hi ehsas mein pakte rahe ta-der
wo garmi-e-anfas wo jaDe ki KHunuk raat
ehsas mein shoale se lapakte rahe ta-der
Ghazal
Aaankhon mein sitare se chamakte rahe ta-der
Saleem Ahmed