aaankhon mein be-ruKHi nahin dil mein kashidgi nahin
phir bhi jo dekhiye to ab pahli si dosti nahin
rasm-e-wafa ka iltizam ahd-e-wafa ka ehtiram
shewa-e-ashiqi to hai fitrat-e-ashiqi nahin
hum se shikayaten baja hum ko bhi hai magar gila
pahle se hum nahin agar pahle se aap bhi nahin
bazm-e-tarab mein dosto dekh raha hun main yahi
raqs mein aadmi to hain raqs mein zindagi nahin
manzil-o-rah mein kabhi itna to fasla na tha
rahbaro KHata-muaf ye koi rahbari nahin
ilm-o-hunar ke faiz se ilm-o-hunar ke bawajud
mahfil-e-zist mein 'nazir' rang hai raushni nahin
Ghazal
Aaankhon mein be-ruKHi nahin dil mein kashidgi nahin
Nazeer Siddiqui