aa rahi hai shab-e-gham meri taraf mere liye
saqiya chashm-e-karam meri taraf mere liye
thakne lagta hun to aawaz si aati hai koi
aur do-chaar qadam meri taraf mere liye
log kahte hain ki ho jati hai duniya rangin
ek nazar meri qasam meri taraf mere liye
paelen ku-e-nigaran mein khanak uThti hain
jab wo rakhte hain qadam meri taraf mere liye
jhilmilate hue tare hi sahi subh-e-firaq
hain to kuchh dida-e-nam meri taraf mere liye
hae wo bekasi-e-ishq ki duniya thi KHilaf
dair hi tha na haram meri taraf mere liye
hogi kuchh aisi hi majburi-e-haalat 'shamim'
iltifat ab jo hai kam meri taraf mere liye
Ghazal
Aa rahi hai shab-e-gham meri taraf mere liye
Shamim Karhani