aa kidhar hai tu saqi-e-maKHmur
bhar ke de jam-e-baada-e-angur
koi jam-e-sharab aisa pila
jis se shadi kare dil-e-ranjur
ranj-e-geti se dil mukaddar hai
bhar ke de mai se saghar-e-billor
aaj yaum-e-zafar do-shohra hai
talib-e-aish hai dil-e-jamhur
mar kar dew-e-bad ko lanka se
ram aae muzaffar-o-mansur
ram-o-sita awadh mein jab aae
dil-e-kaushalya hua masrur
taKHt-e-lanka diya wibhishan ko
jab hua qatl rawan-e-maqhur
dil sumitra ka bhi hua KHursand
dekha lachhman ka jab ruKH-e-pur-nur
kash dashrath bhi zinda hote aaj
tha na ishwar ko ye magar manzur
doston ko ye din mubarak ho
ho mubarak unhen ye aish-o-surur
sal puchhe agar koi kah do
aaj mara hai rawan-e-maghrur
Ghazal
Aa kidhar hai tu saqi-e-maKHmur
Sardar Genda Singh Mashriqi