اردو हिंदी
Aa ki hasti be-lab-o-be-gosh hai tere baghair | Shaahi Shayari
aa ki hasti be-lab-o-be-gosh hai tere baghair

Ghazal

Aa ki hasti be-lab-o-be-gosh hai tere baghair

Seemab Akbarabadi

;

aa ki hasti be-lab-o-be-gosh hai tere baghair
kaenat ek mahshar-e-KHamosh hai tere baghair

aa ki phir dil mein nahin uThti koi mauj-e-nashat
sard pani baada-e-sar-josh hai tere baghair

nind aa aa kar uchaT jati hai teri yaad mein
tar-e-bistar nashtar-e-aghosh hai tere baghair

jalwa-e-har-roz jo har subh ki qismat mein tha
ab wo ek dhundla sa KHwab-e-dosh hai tere baghair

zindagi tujh se ibarat thi magar jab tu nahin
zindagi ka apni kis ko hosh hai tere baghair

aa ki mauzu-e-ghazal ko DhunDhti hai har nigah
naghma-e-mutrib bala-e-gosh hai tere baghair

kya KHabar 'simab' kab ghabra ke de de apni jaan
zabt go ab tak tahammul-kosh hai tere baghair