aa ke patthar to mere sahn mein do chaar gire
jitne us peD ke phal the pas-e-diwar gire
aisi dahshat thi fazaon mein khule pani ki
aankh jhapki bhi nahin hath se patwar gire
mujhe girna hai to main apne hi qadmon mein girun
jis tarah saya-e-diwar pe diwar gire
tirgi chhoD gae dil mein ujale ke KHutut
ye sitare mere ghar TuT ke bekar gire
kya hawa hath mein talwar liye phirti thi
kyun mujhe Dhaal banane ko ye chhitnar gire
dekh kar apne dar-o-baam laraz jata hun
mere ham-sae mein jab bhi koi diwar gire
waqt ki Dor KHuda jaane kahan se TuTe
kis ghaDi sar pe ye laTki hui talwar gire
hum se Takra gai KHud baDh ke andhere ki chaTan
hum sambhal kar jo bahut chalte the na-chaar gire
kya kahun dida-e-tar ye to mera chehra hai
sang kaT jate hain barish ki jahan dhaar gire
hath aaya nahin kuchh raat ki daldal ke siwa
hae kis moD pe KHwabon ke parastar gire
wo tajalli ki shuaen thin ki jalte hue par
aaine TuT gae aaina-bardar gire
dekhte kyun ho 'shakeb' itni bulandi ki taraf
na uThaya karo sar ko ki ye dastar gire
Ghazal
Aa ke patthar to mere sahn mein do chaar gire
Shakeb Jalali