aa ke mujh tak kashti-e-mai saqiya ulTi phiri
aaj kya naddi bahi ulTi hawa ulTi phiri
aate aate lab par aah-e-na-rasa ulTi phiri
wo bhi mera hi dabane ko gala ulTi phiri
muD ke dekha us ne aur war abruon ka chal gaya
ek chhuri sidhi phiri aur ek zara ulTi phiri
la saka nazzara-e-ruKHsar-e-raushan ki na tab
ja ke aaine pe chehre ki ziya ulTi phiri
rast-bazon hi ko pisa aasman ne raat din
wa-e-qismat jab phiri ye aasiya ulTi phiri
jo baDa bol ek din bole the pesh aaya wahi
gumbad-e-gardun se Takra kar sada ulTi phiri
rizq kha kar ghair ki qismat ka zambur-e-asal
tu ne dekha halq tak ja kar ghiza ulTi phiri
tu sataish-gar hai us ka jo hai tera madh-KHwan
ye to ai mushfiq zamir-e-marhaba ulTi phiri
jis par aai thi tabiat ki usi ne kuchh na qadr
jins-e-dil manind-e-jins-e-narawa ulTi phiri
ya to kushi Dubti thi ya chali sahil se dur
wae nakaami phiri bhi to hawa ulTi phiri
girne wala hai kisi dushman pe kya tir-e-shahab
aasman tak ja ke kyun aah-e-rasa ulTi phiri
ji gaya main us ke aa jaane se dushman mar gaya
dekh kar isa ko baalin par qaza ulTi phiri
mar gaya be-maut main aaKHir ajal bhi dur hai
kucha-e-qatil ka batla kar pata ulTi phiri
hijr ki shab mujh ko ulTi sans lete dekh kar
ek hi dam mein wahan ja kar saba ulTi phiri
hai mera virana-e-gham 'nazm' aisa haul-nak
mauj-e-sail aai to le kar boriya ulTi phiri
Ghazal
Aa ke mujh tak kashti-e-mai saqiya ulTi phiri
Nazm tabaa-tabaa.ii