aa ke ab jangal mein ye uqda khula
bheDiye paDhte nahin hain falsafa
richhni ko shaeri se kya gharaz
tang hai tahzib hi ka qafiya
khaal chikni ho to dhande hain hazar
gidaDi ne kab koi doha suna
gorKHar ki dhaariyon ko dekh lo
suiT chaupae bhi lete hain sila
lomDi ki dum ghani kitni bhi ho
satar-poshi ko nahin kahte haya
shahr mein un ke jo guzra tha 'salim'
likh diya hai main ne sara majra
Ghazal
Aa ke ab jangal mein ye uqda khula
Saleem Ahmed