اردو हिंदी
Aa kar uruj kaise gira hai zawal par | Shaahi Shayari
aa kar uruj kaise gira hai zawal par

Ghazal

Aa kar uruj kaise gira hai zawal par

Aurangzeb

;

aa kar uruj kaise gira hai zawal par
hairan ho raha hun sitaron ki chaal par

ek ashk bhi Dhalak ke dikhae ab aankh se
main sabr kar chuka hun tumhaare KHayal par

aa aa ke us mein machhliyan hoti rahin farar
hansti hai jal-pari bhi machheron ke jal par

mayus ho ke dekhna kya aasman ko
uDne ka shauq hai to meri jaan nikal par

main tang aa chuka hun ki samjhaun kis tarah
ek rose chhoD dunga tujhe tere haal par

kuchh yaad hai ki main ne banae the tere naqsh
phir itna naz kyun hai tujhe KHadd-o-KHal par

misl-e-gulab aap jo mahke hain bagh mein
bosa wasul kijiye titli ka gal par

tafriq kis tarah se karoge yahan pe 'zeb'
insan likha hua hai darindon ki khaal par