aa kar najat baKHsh do ranj-o-malal se
dil mutmain nahin hai tumhaare KHayal se
uf gardish-e-nasib ki hoshyar ho ke bhi
mahfuz rah sake na zamane ki chaal se
ye kyun kahun ki mujh se unhen pyar hai magar
ek wasta zarur hai mere KHayal se
tha kaun ye KHabar nahin bas itna yaad hai
Takrai thi nigah kisi ke jamal se
dil-bastagi ki us se koi kya kare umid
jo khelta raha ho dil-e-paemal se
aisa na ho ki aise hi ban jaen aap bhi
mat kijiye gurez kisi KHasta-haal se
jata rahega 'shauq' taDapne ka ab maza
gham baDh raha hai aaj had-e-e'tidal se
Ghazal
Aa kar najat baKHsh do ranj-o-malal se
Shauq Salki