aa jao ki mil kar hum jine ki bina Dalen
ye bar-e-hayat ai dost uThne ka nahin tanha
duniya pe musallat hai auham ki tariki
hum hain ki jalae hain ek sham-e-yaqin tanha
muhtaj-e-tawajjoh hain kuchh aur masail bhi
kyun zehn mein phirti hai ek nan-e-jawin tanha
har murgh-e-KHush-alhan ab parwaz pe mail hai
gulshan mein na rah jae sayyaad kahin tanha
sajde dar-e-jaanan par lakhon ne kiye lekin
mear-e-wafa Thahri meri hi jabin tanha
ek husn-e-tasawwur hai jo zist ka sathi hai
wo koi bhi manzil ho hum log nahin tanha
nazdik 'hafiz' is ke rind aaen to kya aaen
jagir hai zahid ki sarmaya-e-den tanha
Ghazal
Aa jao ki mil kar hum jine ki bina Dalen
Hafeez Banarasi