aa jae na raat kashtiyon mein
phenko na charagh paniyon mein
ek chadar-e-gham badan pe le kar
dar dar phira hun sardiyon mein
dhagon ki tarah ulajh gaya hai
ek shaKHs meri buraiyon mein
us shaKHs se yun mila hun jaise
gir jae nadi samundaron mein
lohaar ki bhaTTi hai ye duniya
bande hain azab ki ruton mein
ab un ke sire kahan milenge
TuTe hain jo KHwab zalzalon mein
mausam pe zawal aa raha hai
khilte the gulab khiDkiyon mein
andar to hai raj rat-jagon ka
bahar ki faza hai aandhiyon mein
kohra sa bhara hua hai 'KHawar'
aankhon ke udas jhonpaDon mein
Ghazal
Aa jae na raat kashtiyon mein
Ayub Khawar