aa ja andheri raaten tanha bita chuka hun 
shamen jahan na jaltin aankhen jala chuka hun 
KHurshid-e-sham-e-rafta lauTe to us se puchhun 
main zindagi ki kitni subhen ganwa chuka hun 
ummid-o-bim-e-shab ne ye bhi bhula diya hai 
kitne diye jalae kitne bujha chuka hun 
main baz-gasht-e-dil hun paiham shikast-e-dil hun 
wo aazma raha hun jo aazma chuka hun 
ye shab bujhi bujhi hai shayad ki aaKHiri hai 
ai subh-e-dard tere nazdik aa chuka hun 
mujh ko fareb mat de ai mausam-e-bahaaran 
aise kai shagufe main bhi khila chuka hun 
suraj tulua hon ya suraj ghurub 'sahba' 
shab-ha-e-gham ke parde KHud par gira chuka hun
        Ghazal
Aa ja andheri raaten tanha bita chuka hun
Sahba Akhtar

