اردو हिंदी
Aa idhar aa hausla gar kuchh hai qatil aur bhi | Shaahi Shayari
aa idhar aa hausla gar kuchh hai qatil aur bhi

Ghazal

Aa idhar aa hausla gar kuchh hai qatil aur bhi

Harbhajan Singh Sodhi Bismil

;

aa idhar aa hausla gar kuchh hai qatil aur bhi
dekhta ja shauq-e-wasl-e-ruh-e-bismil aur bhi

dekh kar maqtal mein josh-e-KHun-e-bismil aur bhi
chaDh gaya ek dam dam-e-shamshir-e-qatil aur bhi

jab se apna kaba-e-dil jalwa-gah-e-yar hai
baDh gai hai aashiqon mein azmat-e-dil aur bhi

chahne wala tera ek main hi to tanha nahin
shukr hai is jurm-e-ulfat mein hain shamil aur bhi

dekhiye phir kis tarah hota nahin un par asar
kash sun lete nawa-e-parda-e-dil aur bhi

chashm-e-saqi ho idhar bhi daur-e-jam-e-nigah
hain darun-e-KHana-e-ulfat mein hain shamil aur bhi

main to pahle hi se nazr-e-asiya-e-charKH tha
ishq ne rakh di mere sine pe ek sil aur bhi

main to tera ho liya tu bhi to ho mera kabhi
teri nazar-e-mehr ko takte hain 'bismil' aur bhi