اردو हिंदी
Aa hi gaya wo mujhko lahad mein utarne | Shaahi Shayari
aa hi gaya wo mujhko lahad mein utarne

Ghazal

Aa hi gaya wo mujhko lahad mein utarne

Hafeez Jalandhari

;

aa hi gaya wo mujh ko lahad mein utarne
ghaflat zara na ki mere ghaflat-shiar ne

o be-nasib din ke tasawwur se KHush na ho
chola badal liya hai shab-e-intizar ne

ab tak asir-e-dam-e-fareb-e-hayat hun
mujh ko bhula diya mere parwardigar ne

nauhagaron ko bhi hai gala baiThne ki fikr
jata hun aap apni ajal ko pukarne

dekha na karobar-e-mohabbat kabhi 'hafiz'
fursat ka waqt hi na diya karobar ne