aa guman se guzar ke dekhenge
aasman se utar ke dekhenge
Dub kar aa ubhar ke dekhenge
pech sare bhanwar ke dekhenge
KHatm ho raat ka tawil safar
zina zina utar ke dekhenge
kis qadar hai amiq sannaTa
apne andar utar ke dekhenge
kya guzarti hai zindagi ke baad
aao kuchh der mar ke dekhenge
pas baqi takan hai kitni
raste mein Thahar ke dekhenge
log sab ek hi qimash ke hain
kya udhar kya idhar ke dekhenge
Ghazal
Aa guman se guzar ke dekhenge
Hamdam Kashmiri