aa gaya phir ramazan kya hoga
hae ai pir-e-mughan kya hoga
bagh-e-jannat mein saman kya hoga
tu nahin jab to wahan kya hoga
KHush wo hota hai mere nalon se
aur andaz-e-fughan kya hoga
dur ki rah hai saman hain baDe
itni mohlat hai kahan kya hoga
dekh lo rang-e-paridan ko mere
dil jalega to dhuan kya hoga
hoga bas ek nigah mein jo tamam
wo ba-hasrat nigaran kya hoga
hum ne mana ki mila mulk-e-jahan
na rahe hum to jahan kya hoga
mar ke jab KHak mein milna Thahra
phir ye turbat ka nishan kya hoga
jis tarah dil hua TukDe az-KHud
chaak is tarah katan kya hoga
ya tera zikr hai ya nam tera
aur phir wird-e-zaban kya hoga
ishq se baz na aana 'haidar'
raaz hone de ayan kya hoga
Ghazal
Aa gaya phir ramazan kya hoga
Nazm tabaa-tabaa.ii