اردو हिंदी
Aa gaya isar mere halqa-e-ahbab mein | Shaahi Shayari
aa gaya isar mere halqa-e-ahbab mein

Ghazal

Aa gaya isar mere halqa-e-ahbab mein

Ejaz Asif

;

aa gaya isar mere halqa-e-ahbab mein
phir kisi shoale ne pai hai numu barfab mein

kah rahi hai sahilon se Dubne wale ki lash
main ne paya hai sukun ek muztarib girdab mein

kanp uTTha hun warud-e-barish-e-mauuda par
gharq hone ko hai sara shahar sail-e-ab mein

mere hathon mein agar taqdir-e-subh-o-sham ho
titliyan tabir ki rakh dun kitab-e-KHwab mein

KHak ke putle ne aaKHir kar diya ifsha use
dafan tha jo raaz ab tak sina-e-mahtab mein

samne ki chiz mein 'asif' nahin koi kashish
tak na yun hairat se apne aks ko talab mein