اردو हिंदी
Aa gaya ho na koi bhes badal kar dekho | Shaahi Shayari
aa gaya ho na koi bhes badal kar dekho

Ghazal

Aa gaya ho na koi bhes badal kar dekho

Makhmoor Saeedi

;

aa gaya ho na koi bhes badal kar dekho
do qadam sae ke hamrah bhi chal kar dekho

mehman raushniyo saKHt andhera hai yahan
panw rakhna meri chaukhaT pe sambhal kar dekho

kabhi aisa na ho pahchan na pao KHud ko
bar bar apne irade na badal kar dekho

abr aaega tabhi pyas bujhane pahle
reg-e-sahra ki tarah dhup mein jal kar dekho

din ki dekhi hui har shakl badal jaegi
raat ke sath zara ghar se nikal kar dekho

mom ho jaega patthar sa ye dil sine mein
lamha bhar ko kisi pahlu mein pighal kar dekho

umr-e-rafta ko kahan DhunDh rahe ho 'maKHmur'
us ke kuche mein milegi wahin chal kar dekho